Very Funny Jokes In Hinglish|Jokes In Hinglish
Very Funny Hinglish Jokes |
Dard Mand Dil
Ek aadmi bahut hi dard mand dil rakhne wale
insaan the. Inhein apne se zyada doosron ki parwah rahti thi. Wo apni
pareshaniyon mein bhi doosron ki chinta ko kam karne ki koshish karte the. Ek
bar saari precautions ke bawajood inke kapaas ke kheton mein locusts ne hamla
kar diya aur saari fasal ko barbaad kar diya.
Village ke circle par ye aadmi jab
apne friend se mile to idhar udhar ki baat karne ke baad friend ne poochha,
“Aur batao, fasal ka kya haal hai….?”
“Bahut bura….!” Us aadmi ne thandi
saans le kar jawaab diya.
“Kyun…? Kya hua..?” friend ne hairaan
ho kar poochha.
“Bas yaar kya bataun…!” us aadmi ne ek aur thandi saans lete hue kaha, “Das lakh locusts mere kheton mein phir rahi hain aur bechariyon ko khaane ke liye kuch nahi hai.”
Reason
Apni wife ka zikr karte hue ek sajjan ne apne
friend se kaha… “Maine us se shaadi is liye ki thi ke us ne meri jaan bachayi
thi.”
Friend ne interest lete hue poochha…. “ Wo
kaise…?”
“Us ne apne dad ko mujh par goli chalane se
roka tha.” Sajjan ne jawaab diya.
Act of Richness
Ek beggar ek aadmi ke pas aaya aur bheek mangte
hue kaha… “Ek rupaye ka sawaal hai sahab….?”
Is par wo aadmi muskuraya aur haatim tayi ki
bawiqaar chaal chalet hue beggar ke qareeb ho kar bola, “Ye kaisa sawaal hai,
kuch zyada maango.”
Beggar
ne khush ho kar kaha, “ 50 rapaye ka sawaal hai sahab…?”
Us aadmi ne richness act dikhate hue apna pocket
open kiya aur kaha, “ Maaf karo baba, pahle kam paison ke sawaal par maafi maangna
hamari tauheen thi.”
Proper Style
Ek sajjan apni new job par aane ke pahle din hi
shaam tak computer par kaam karte rahe. Boss bhi khush ho gaye aur poochha… “Tum
ne aaj shaam tak kya kaam kiya?”
Un sajjan ne jawaab diya…. “computer key board
ke saare button improper the, maine un sabhi ko proper style mein fit kar diya
hai.
The secret of Health
One
friend (to another): Banana ke
saath uska chhilka bhi khaana chahiye.
Another
friend: Kya yeh hathon
aur pairon ko healthy banata hai…?
First
Friend: Yes….! Khaane
waalon ke nahin, balki sadak par chalne waalon ke.
The shopkeeper’s Surprise
One
boy (to shopkeeper): uncle… ! aap
ne yeh eggs kaise diye.
Shopkeeper
(surprisingly) : Beta…! Rate
poochh rahe ho yaa tareeqa…?
Apni Apni Baat
A
wrestler (to opponent): Aap is competition
ko kabhi nahi jeet sakte kyunki aap sirf prize money ke liye fight kar rahe
hain jab ki main apne sammaan ke liye.
Opponent
Wrestler: Zaahir hai,
Jiske paas jo nahin hai wo usi ke liye fight karta hai.
This is how it is..?
Saudi Arab mein ek din ek Indian aata khareedne
ke liye anaaj ki dukaan par gaya.
Indian: Mujhe wheat ka aata chahiye.
Shopkeeper
(Pointing to lentils):Haaza….?
Indian
(Hatheli par wheat grains mix karte hue): Haaza ka yun yun.
April fool
Ek aadmi 1st
April ko kahin jaane ke liye bus mein chadha. Jab conductor ne ticket khareedne
ki maang ki, to usne apni pocket se ten rupees nikaal kar ticket khareeda, phir
conductor ko sambhodit karte hue kaha…. “April fool….! Mere paas ek pass bhi
hai.”
Prarthana kyun…?
Raju: Kya tumne khane se pahle prarthana karli..?
Sanju: Nahin….Meri mom achha khana banati hain.
No comments:
Post a Comment