Advertisement

Responsive Ads Here

Tip for the Mobile Users: Use  the Desk Top Mode in Browser & change the Mobile Screen in Landscape Mode for best experience of the site.

We are frequently adding more stuff on a regular time of interval. So do subscribe to the website to get the notification via email. And don't forget to visit the site again.

Wednesday, June 17, 2020

Seriously Funny Jokes In Hinglish

Seriously Funny Jokes In Hinglish

          😊😃Looking for the seriously funny jokes in Hinglish. Then you are on a right place.  Here is a collection of  Seriously funny jokes in multiple languages which can change your mood and you never forget to revisit. So lets have fun to read and share .....☺😍

jokes in Urdu, jokes in Hindi, jokes in English, jokes in kannada
Seriously Funny Hinglish Jokes

Innocence

Elections hone waale the, candidates ghar – ghar jaakar vote maang rahe the. Ek candidate ek ghar ka darwaza khatkhataya to ek Chhoti si ladki ne darwaza khola.

“Hello doll” candidate ne kaha, “ Aapke papa congress party mein hain yaa samaaj waadi party mein….?”

“Ji, wo bathroom mein hain.” Ladki ne masoomiyat se jawaab diya.


Khaatirdaari

Ek din ek kanjoos aadmi ke ghar kuch mahmaan aaye. Kanjoos aadmi ne mahmanon se poochha…. “Aap kya khayenge…?”

Mahmanon mein se ek ne kaha….. “Hum wahi khayenge jo aap khaana pasand karenge.”

Kanjoos aadmi… “Mera dil to is samay bahar nikal kar hawa khaane ko kar raha hai.”


Jaisa Sawaal Waisa Jawaab

Police (To shopkeeper): Kya tum koyla black karte ho….?

Shopkeeper: Nahi Sir, koyla to naturally black hota hai.


Aadarsh Aalsi

Office ke GM ek Ideal lazy person the. Ek din unhon ne achanak ek announcement kar ke sabko hairaan kar diya ke aaj main gym jaunga.

“Bahut achha…..!” ek colleague ne khushi se kaha…. “ At last aapko exercise ka khayaal aa hi gaya”.

“Kaun kambakht exercise karne jaa raha hai...” GM ne moonh banate hue kaha… “Mujhe apni membership cancel karwani hai”.


Fizool Kharchi Ki Aadat

“Beta, tum kuch padh rahe ho..?” Kanjoos dad ne apne one and alone bete se poochha.

“No papa Ji,” bete ne immediate reply kiya.

“Kya tum kuch likh rahe ho?” Dad ne phir poochha.

“No papa, main kuch soch raha hoon.” Bete ne apni activity batayi.

“To phir bhagwan ke liye apne goggles utaar do, tumhaari yeh Fizool Kharchi ki Aadat ek din mujhe diwaaliya bana degi.” Kanjoos dad ne chilla kar kaha.


First Time

Ram(to sham): Dekho, wo ladki mujhe dekh kar muskura rahi hai.

“Yeh to kuch bhi nahi hai.” Sham ne jawaab dete hue kaha… “Jab main ne first time tumhein dekha tha, to teen din tak meri hansi nahi ruki thi.”


Celebration

Wife (to husband): wo saamne jo sharaabi dekh rahe ho, maine 10 saal pahle us se shaadi ke liye manaa kiya tha aur wo aaj tak sharaabi pee raha hai.

Husband: waah….! Itna lamba celebration.


Shuru kis ne kiya tha…?

Father: Beta….! Is baar tumhein exams mein 90% laana hai.

Son: no dad….! Main is baar 100% launga.

Father: Tum mazaaq kyun kar rahe ho…?

Son: Shuru kis ne kiya tha....?


Misunderstanding

Wife(husband se): Kal raat tum mujhe neend mein gaaliyan de rahe the.

Husband: tumhein ghalat fahmi hui hai.

Wife: Kaisi ghalat fahmi…..?

Husband: Yahi ke main soya hua tha.


Shubh Samaachaar wala Column

News paper ke office mein ek reporter  ne doosre se poochha, “Minister sahab apne resignation ki news par itna ghussa kyun hain….?”

“Aap ne shayad dhyaan nahi diya…” doosre reporter ne jawaab dete hue kaha… “ Hamne by mistake shubh samaachaar  wale column mein unke resignation ki khabar print kardi hai.” 


The Diamond Necklace

Ek rich aadmi aur uski wife kahin jaa rahe the. Raaste mein wife ko halki khansi aayi to husband ne bade pyaar se poochha…. “Dear! Kya main tumhaare gale ke liye kuch le loon…?”

Wife ne muskuraate hue kaha … “Haan…! Diamond necklace, Jo Hamne jeweler ke paas dekha tha.


Hard Worker

Baithak ko sambhodit karte hue labor leader ne kaha….

“Mujhe kadi mehnat aur mashaqqat bahut pasand hai. Main aksar us darakht ki chhaayamein bistar par late kar saara din logon ko kadi mehnat karte dekhta hoon.”


Draft & Final Copy

Question: Puroshon ko Mahilaon se pahle kyun banaya gaya?

Answer: Antim roop diye jaane se pahle shayad aadmi ko draft ke taur par tayyar kiya gaya tha. 


No comments:

Post a Comment